Wednesday, 4 July 2012

LAUT AA





Baam-e-lab aya hay tera naam k ab laut aa
Ho na jaye kaheen zindagi ki shaam k ab laut aa



Hasrat-e-Deed ik kasak hay meri k ab laut aa
Ye intiha-e-shoq hay mera k ab laut aa


ik iztirab sa iztirab hay k ab laut aa
ger tujhe zara mera khiyal hay to ab laut aa


firaq-o-hijar k peych-o-kham hen k ab laut aa
meri chahten bay amer hen k ab laut aa


Mehfil-e-shab ik or jam gai k ab laut aa
dar, wehshat or ratjagay hen k ab laut aa


sabhi khuch munazim hay teray mutrabiq ab laut aa
jaam-e-tanhai bhi bhara hua hay k ab laut aa


sara-e-yaqoot bhi aj mukammal hay k ab laut aa
apni ada hi nibhanay ko ab laut aa

No comments:

Post a Comment